Ham dosti ehsan wafa sab

Ham dosti ehsan wafa sab bhool gaye hain
zinda tu hain jeenay ki adaa bhool gaye hain

Khushboo jo lutaaty hain, masltay hain usi ko
ehsaas kaa badla ye miltaa hay kali ko
ehsaas tu laitay hain silaa bhool gaye hain

kertay hain mohabbat ka aur ehsaas ka souda
matlab k liye kertay hain emaan ka souda
dar mout ka aur khouf e khuda bhool gaye hain

ab moum may dhaal ker koi pather nhi hota
ab koi qurbaan kisii per nhi hota
yooun bhatkay hain k manzil ka pta bhool gaye hain.

Some of the Random SMS

This entry was posted in Friendship SMS. Bookmark the permalink.

Leave a Reply