Na janay dhundhtay kia ho

Na janay dhundhtay kia ho meri weeraan ankhon main, Chupa rakhay hain ham nay to kai tufaan ankhon main, Tumhara zarf tha tumko mohabat yaad na ai . . . . . Jala teri mohabat ka dia har aan ankhon main, Kisi ka hath lay kar hath main jab tum milay ham say, To kaisay toot kar bikhra tha mera maan ankhon main, Na samjho chup hain to tum say koi shikwa nahi baqi, Ham apnay dard ki rakhtay nahi pahchan ankhon main

Some of the Random SMS

This entry was posted in Ghazal SMS. Bookmark the permalink.

Comments are closed.