Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

Some of the Random SMS

This entry was posted in Ghazal SMS. Bookmark the permalink.

Comments are closed.