Buht hi mudat k baad kal

Buht hi mudat k baad kal jab
kitab-e-maazi ko meine khola
buht se chehray nazr mei utray
buht se namoon pe dil paseja
aik aisa safha bhe usme aya
likha huwa tha jo ansuoon se
k jiska unwan HUMSAFAR tha
jo safha sabse hi mautabar tha
kch aur ansu phr us pe tapkay
phr us se agay mei parh na paya
kitab-e-mazi ko bandh kar k
tumhare baton mei kho gaya mei
agr tu milta to kaisa hota
Inhi khayalon mei soo gaya mei.

Some of the Random SMS

This entry was posted in Poetry SMS. Bookmark the permalink.

Leave a Reply