mery dil mery musafir…
hoa phir sey hukkam sadir…
k watan badar hoon hum tum…
daein galli galli sadaein….
karein rukh nagar nagar ka…
k suragh koi paein…
kissi yaar e nama bar ka…
har ik ajnabbi sey poochein jo pata tha apney ghar ka…
sar e koey na sahanyaan …
humein din sey raat karna…
kabhi iss sey baat karna…
kabhi oss sey baat karna…
tumhein kiya kahoon k kiya hey…
shab e gham burri balla hey…
humein yeh bhi tha ghanimat…
jo koi shummar hota…
humein kiya burra tha marna agar aik baar hota
mery dil mery musafir… hoa
This entry was posted in Poetry SMS. Bookmark the permalink.